Aaj jise hum Sukh ya Dukh kehte hai, in dono ka knowledge Satyug/Tretayug me nahi hota. Arthat, vaha sukh-dukh ki koi knowledge hi nahi.
➥ Jab hume dukh ki knowledge hoti hai, tabhi hum 'sukh' ko consciously experience (anubhav) kar sakte hai. Ise hi "relativity" ka law kaha jaata hai. Arthat ki kuck bhi real me experience karne ke liye hume usi ke opposite ki knowledge hona jaruri hai. Example ke roop me- Din (daylight) ko hum Din aur Raat (night) ko hum raat 'relatively' hi kehte hai. Din me prakash rehta hai, aur jab vo prakash nahi rehta, to raat kahenge...
➥ Vaise hi Shristi me Din (Satyug/Tretayug) ko hum Sukh ki duniya tabhi keh sakte hai, jab us duniya ke opposite bhi koi duniya ho (Kaliyug)- to tabhi hum Satyug ko Swarg, aur Kaliyug ko nark kahenge...
➥ Agar Dhwapur aur Kalyug na ho, to Satyug aur Treta ko bhi sukh kaise kahe?? Aur phir shristi ka chakra kaise phire?? aur ParamAtma ka avtaran kyu ho agar koi bhi atma dukhi nahi hai?DRAMA aise accurate bana hai, ki sabhi atmae apne apne sanskar anusaar sristi ke chakra me pravesh karti hai.
➥ Is duniya ke LAW anusaar - sabhi Atmae aur Prakruti (nature) 3 stages se pass hoti hi hai - Satto, Rajjo, Tamo.... aur tamo ke baad phir Satto jaroor hona hai... yahi shristi ka chakra hai aur niyam bana hua hai... yeh tamo-pradhan se Sattopradhan banane ka karya hi ParamAtma Shiv Baba ka hai.
Aaj jise hum Sukh ya Dukh kehte hai, in dono ka knowledge Satyug/Tretayug me nahi hota. Arthat, vaha sukh-dukh ki koi knowledge hi nahi.
➥ Jab hume dukh ki knowledge hoti hai, tabhi hum 'sukh' ko consciously experience (anubhav) kar sakte hai. Ise hi "relativity" ka law kaha jaata hai. Arthat ki kuck bhi real me experience karne ke liye hume usi ke opposite ki knowledge hona jaruri hai. Example ke roop me- Din (daylight) ko hum Din aur Raat (night) ko hum raat 'relatively' hi kehte hai. Din me prakash rehta hai, aur jab vo prakash nahi rehta, to raat kahenge...
➥ Vaise hi Shristi me Din (Satyug/Tretayug) ko hum Sukh ki duniya tabhi keh sakte hai, jab us duniya ke opposite bhi koi duniya ho (Kaliyug)- to tabhi hum Satyug ko Swarg, aur Kaliyug ko nark kahenge...
➥ Agar Dhwapur aur Kalyug na ho, to Satyug aur Treta ko bhi sukh kaise kahe?? Aur phir shristi ka chakra kaise phire?? aur ParamAtma ka avtaran kyu ho agar koi bhi atma dukhi nahi hai? DRAMA aise accurate bana hai, ki sabhi atmae apne apne sanskar anusaar sristi ke chakra me pravesh karti hai.
➥ Is duniya ke LAW anusaar - sabhi Atmae aur Prakruti (nature) 3 stages se pass hoti hi hai - Satto, Rajjo, Tamo.... aur tamo ke baad phir Satto jaroor hona hai... yahi shristi ka chakra hai aur niyam bana hua hai... yeh tamo-pradhan se Sattopradhan banane ka karya hi ParamAtma Shiv Baba ka hai.
Samjha?
On Godly World Service,
oo